Kar to liya zulm qalandar ki zamee'n par
rok saka kaun bhala zikr e qalandar
agli sahar aai to duniya ne ye dekha
phir wahi mela, wahi naubat, wahi langar

bolo bolo sakhi laal qalandar mahaan
ali ali ali ali

Jhoole laal bolo.. ali ali ali ali
sona laal bolo.. ali ali ali ali
jhoole laal bolo sona laal bolo

haar gaya hai dushman e haider..
jeet gaya..jeet gaya..jeet gaya laal qalandar

sajj gaya mela sehwan ki zamee'n par
jeet gaya laal qalandar

laal qalandar, laal qalandar
mast jhoole laal qalandar

1. Phir se usi shaan ka mela ye saja hai
saare shaheedo'n ka lahu bol raha hai
kehte hai saare labbaik qalandar
jeet gaya laal qalandar

2. Naaro se phir se ye fiza goonj rahi hai
ishq e qalandar me ye naubat jo baji hai
wajd mein aayi shaame qalandar
jeet gaya laal qalandar

3. Jo hai sage sooe e qalandar wo kahega
zikr e qalandar na ruka hai na rukega
jao dhamale naara lagakar
jeet gaya laal qalandar

4. Nagri qalandar ki malango ki zamee'n hai
parcham e ghazi ke sabab aur hasee hai
kitna hasee'n hai aaj ye manzar
jeet gaya laal qalandar

5. Aaj bhi is darr pe sawarte hai muqaddar
jaate hai farhan sabhi jholiya bhar kar
kyu na kahe phir duniya se mazhar
jeet gaya laal qalandar

Jhoole laal bolo.. ali ali ali ali
sona laal bolo.. ali ali ali ali
jhoole laal bolo sona laal bolo
ali ali ali ali