Pahelu bhi shikasta hai, Aur qabre bhi tooti hai
Zahera ki ghareebi hi haider ki ghareebi hai

Ye gurbat e Ali hai... 2

Haq mangne jo zahera Darbar mein gay hai

Awaaz aa rahi hai my binte mustafa hun
Baba ke kalma goyo my hi to fathema hun
Pahechan nese duniya inkar kar rahi hai
Ye gurbat e Ali hai

Sunkar salam e Haider koi nahi hai rukta
Wajib nahi samjhta koi jawab dena
Afsoos fathema bhi ye baat jaanti hai
Ye gurbat e Ali hai

Hai masjid mein sar jhukaye moula khadey huve hai
Hakim ki tohamaton ko chupchaap sun rahe hai
Siddiqa sab ke aagey jhutlaai jarahi hai
Ye gurbat e Ali hai

Kaheti hai roke zahera janena dungi tanha
Patkeme murtaza ke hai haat sayyada ka
Aab hai kisi ka durra aur dokhtar e nabi hai
Ye gurbat e ali hai

Haaye ek kooch mein pahunch kar dekha hai mujtaba ne
Zalim ne zarb mari kaise khuda hi jaane
Binte nabi zameen par ghash kha ke girpadi hai
Ye gurbat e Ali hai

Hai mazloom e karbala ko yaad aagayi sakina
Beti pe mustafa ki qunfuz ka haat utta
Pahelu mein murtuza ki talwaar ro padi hai
Ye gurbat e Ali hai

Pahu bhi hai shikasta haato pe bho hai chaale
Hai aap ki amanaat aab aap ke hawale
Ye kaheke murtuza ne mayyat nabi ko di hai
Ye gurbat e Ali hai

Hai kaafi hai bus hai ye fikra rone ko zindagi bhar
Haato ko apne aksar kahete they malke haider
Khaibar shikan ki zauja ghut ghut ke margayi hai
Ye gurbat e Ali hai

Haye kaise likhey takallum gurbat ali wali ki
Zauja sahabiyon ke darbar mein gayi thi
Beti sharabiyon ke darbaar mein gayi hai
Ye gurbat e Ali hai