Haye …..

Riwayat Mein Hai Jub Bhi Kafela Dauda Ya Jaata Tha
Sar E SHABBIR (ASWS) Naize Se Sadiyen Deta Jata Tha
Sambhalo Tum Is He ZAINAB (SAWS),
Abhi Bazar Jaana Hai…..2
Yatimi Hai SAKINA (SAWS) Hai, Bada Zalim Zamana Hai ….2

Laiyeen Is Ko Darate Hai, Kabhi Durre Lagate Hai
Sitamgar  (La) Tez Nakon Se Ishe Neeche Girate Hai
SAKINA (SAWS) Jub Bhi Roti Hai, Tamache Bhi Lagate Hai
Meri Bacchi Ko Aaiye ZAINAB (SAWS) Lainon Se Bacha Na Hai
Yatimi Hai SAKINA (SAWS) Hai, Bada Zalim Zamana Hai ….2


Kahan Yeh Phool Si Bacchi, Kahan She Roz Ke Faqe
Abhi Dekhe Hai Khud Isne Chacha Aur Bhi Ke Lashe
Bade Sadme Uthaye Hai, Kai Raton Ki Jagi Hai
Hamare Baad Seene Par Tumhe Isko Sulana Hai
Yatimi Hai SAKINA (SAWS) Hai, Bada Zalim Zamana Hai ….2

Kaleja Tham Lo ZAINAB (SAWS),Yeh Manzar Khoon Rulata Hai
Mera SAJJAD (ASWS) Gairat Se, Nighaon Ko Jhuka Ta Hai
Ke zalim (LA) Ab SAKINA (SAWS) Kaneeze Mein Bulata Hai
Ke In Na Paak Nazron Se SAKINA (SAWS) Ko Chupana Hai
Yatimi Hai SAKINA (SAWS) Hai, Bada Zalim Zamana Hai ….2


yazeed (LA) E Nahas Kehta Hai Meri Bali SAKINA (SAWS) Se
Agar Hai Pyar Baba Ko To Kehdo Sar Se Khud Aaye
Hai Waqt E Imtehan ZAINAB (SAWS) Meri Bacchi Na Mar Jaaieye
Hamare Sar Ko Khud Uth Kar Ab Uske Pas Jana Hai
Yatimi Hai SAKINA (SAWS) Hai, Bada Zalim Zamana Hai ….2


Gaiyen Kabre SAKINA (SAWS) Par, Jyun Hi Farhan O Mazhar
Bahut Roiye , Kiya Matam,Jo Dekha Shaam Ka Manzar
Unhi Logon Ke Narge Mein, Ghiri Hai Aaj Bhi Muztar
Wohi Tanhiyan Bhi Hai, Andhera Kaid Kana Hai
Yatimi Hai SAKINA (SAWS) Hai, Bada Zalim Zamana Hai ….2