Mohammad swallallahu alaihi wa aale hi wa sallam..(2)
Mohammad mohammad..(2)

Wo nabiyo me rehmat laqab paane wala..(2)
Murade ghareebo ki bar laane wala
Mohammad mohammad..(2)

1. Hai ehsaan tera ke aaya zamee par
charaghe hidayat jalaya zamee par
mohabbat ka maskan banaya zamee par
Mohammad mohammad..(2)
jihalat ki tareekiyo me ujaala
Mohammad mohammad..(4)

2. Sikha di bashar ko ibadat khuda ki
sajai jo tune adalat khuda ki
tu hai sabse pehli shahadat khuda ki
Mohammad mohammad..(2)
teri paak hasti khuda ka hawala
Mohammad mohammad..(4)

3. Saubat bhi ummat ki khatir guzari
sahe tanz ke teer aur sang baari
magar teri himmat ke himmat na haari
Mohammad mohammad..(2)
hua tujhse islam ka bolbala
Mohammad mohammad..(4)

4. Abuzar ho salman ho ya ho qambar
sabhi ke saware hai tune muqaddar
azane bilali ka mehwar tera ghar
Mohammad mohammad..(2)
tere wasf aql e bashar se hai baala
Mohammad mohammad..(4)

5. Khadija si zawja to zehra si dukhtar
akhi o wasi aur damaad haider
kisi ke nawase nahi tujhse badhkar
Mohammad mohammad..(2)
husain o hasan ne shariat ko paala
Mohammad mohammad..(4)

6. Tere dil pe utra hai quran saara
ke jisse zamane ko tune sawara
tera qaul sadiq hai duniya me baara
Mohammad mohammad..(2)
tera ek humnaam hai aane wala
Mohammad mohammad..(4)

7. Zamane ne kya kya na tohmat lagai
tere khoo ki pyasi thi saari khudai
magar shamme tauheed tune jalai
Mohammad mohammad..(2)
zamane ko mushkil se tune nikala
Mohammad mohammad..(4)

8. Zamane ki tujhse adawat bhi dekhi
magar humne teri mohabbat bhi dekhi
nawase se teri ye nisbat bhi dekhi
Mohammad mohammad..(2)
teri kaali kamli alam uska kaala
Mohammad mohammad..(4)

9. Tere darr ke naukar hai farhan o mazhar
dua kar rahe hai ye sar ko jhuka kar
banade muqaddar ka humko sikandar
Mohammad mohammad..(2)
humare ta'arruf ka tu hai hawala
Mohammad mohammad..(4)